Ab Hamari Bat Nahi Hoti

Ab hamari bat nahi hoti,
Par ye bhi nahi ki mere din ke zikra me tumhari bat nahi hoti.
Pehle jaise din nahi hote, pehle jaisi rat nahi hoti;
Par ye bhi nahi ki mere man ko lafzo ki saugat nahi hoti.

Socha kayi bar tumse bat karu,
Phir samjhaya kayi bar, tum’me pyaar hota zara bhi to aj ye bat nahi hoti.

Yu to tumhare naam se din ki shuruwat nahi hoti
Par ye bhi nahi ki subah ki roshni me tumhari yad nahi hoti
Tum bhool gaye to kya?
Ham bhi bhool hi jayenge akhir ab hamari mulaqat nahi hoti.

Ab hamari bat nahi hoti,
Pehle ke jaise din nahi hote, pehle ke jaisi rat nahi hoti.

Also, you may like reading I wonder to myself, how have you been

or Afsos Ki Afsos Jata Rahe Hain

For more, follow us on Instagram

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.