Afsos ki afsos jata rahe hain
Ye kuch hota hi sab aise hai
Bas sab yun hi to jiye ja rahe hain
Afsos ki afos jata rahe hain
Ham socha karte the ki sab kuch hasil hai
Par waqt ki nadi me bas bahe ja rahe hain
Jo soch ke baithe the wo manzar guzar gaye
Bas ab aah hi bhar pa rahe hain
Afsos ki afsos jata rahe hain
Wo jo purani sari batein thi
Kitni wo sundar rate ratein thi
Ab bas unke hi khayal sata rahe hain
Hamare sath ki wo
Jo sabse khaas Yadein thi
Jo sabse mehngi mulakatein thi unke liye pachhta rahe hain
Afsos ki afsos jata rahe hain
Dekho kaise bin wajah bat ko dohra rahe hain
Jo kabhi itra tha use ab zehar bata rahe hain
Ye bas aise hi hota hai
Pyar me to samdar bhi shant hota hai
Bas khud ko khone ka dukh mana rahe hain
Afsos ki afsos jata rahe hain
Also, you may like reading I wonder to myself, how have you been
For more, follow us on Instagram